vo dard bhi tha siva hadon se | वो दर्द भी था सिवा हदों से

  - Kahkashan Tabassum

vo dard bhi tha siva hadon se
tumhaari aamad ka jis mein muzda chhupa hua tha
vo dard rag rag ki cheekh ban kar sada hua tha
to aankh khushiyon se nam hui thi
zabaan se shukr-e-khuda tha nikla
zameen ka tukda jo zer-e-paa tha
hua tha jannat
ki apni takmeel par hui thi main sar-b-sajda
magar meri jaan
vo khwaab mausam guzar chuka hai
hazaar raaton ke ratjagon ka hisaab kaisa
jise ki apne lahu se seencha
shajar banaya
vo mera kab tha
azaab kaise utar rahe hain
ya khwaab aankhon mein mar rahe hain
rafaqaton mein ye hijraton ki mahak ghuli kyun
masaafton mein thakan si kyun jism-o-jaan mein utri
koi bataaye
ki god bharne ke ba'ad khaali ye haath kyun hain
ye kaisa chehra hai zindagi ka
labon pe harf-e-dua hai saakit
main phir se ik baar dard lehron ki zad pe thehri ye sochti hoon
ki jis ko banne mein umr kaatee
vo khwaab-e-mausam guzar chuke hain
ghubaar aankhon mein bhar chuke hain
naved deta ho koi lamha
koi pukaare ki main yahin hoon
palat ke aayein vo paanv jis ke liye zameen hoon
nahin hai koi sada nahin hai
magar meri jaan ye dard ab ke siva hai had se

वो दर्द भी था सिवा हदों से
तुम्हारी आमद का जिस में मुज़्दा छुपा हुआ था
वो दर्द रग रग की चीख़ बन कर सदा हुआ था
तो आँख ख़ुशियों से नम हुई थी
ज़बाँ से शुक्र-ए-ख़ुदा था निकला
ज़मीं का टुकड़ा जो ज़ेर-ए-पा था
हुआ था जन्नत
कि अपनी तकमील पर हुई थी मैं सर-ब-सज्दा
मगर मिरी जाँ
वो ख़्वाब मौसम गुज़र चुका है
हज़ार रातों के रतजगों का हिसाब कैसा
जिसे कि अपने लहू से सींचा
शजर बनाया
वो मेरा कब था
अज़ाब कैसे उतर रहे हैं
या ख़्वाब आँखों में मर रहे हैं
रफ़ाक़तों में ये हिजरतों की महक घुली क्यूँ
मसाफ़तों में थकन सी क्यूँ जिस्म-ओ-जाँ में उतरी
कोई बताए
कि गोद भरने के बा'द ख़ाली ये हाथ क्यूँ हैं
ये कैसा चेहरा है ज़िंदगी का
लबों पे हर्फ़-ए-दुआ है साकित
मैं फिर से इक बार दर्द लहरों की ज़द पे ठहरी ये सोचती हूँ
कि जिस को बनने में उम्र काटी
वो ख़्वाब-ए-मौसम गुज़र चुके हैं
ग़ुबार आँखों में भर चुके हैं
नवेद देता हो कोई लम्हा
कोई पुकारे कि मैं यहीं हूँ
पलट के आएँ वो पाँव जिस के लिए ज़मीं हूँ
नहीं है कोई सदा नहीं है
मगर मिरी जाँ ये दर्द अब के सिवा है हद से

  - Kahkashan Tabassum

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kahkashan Tabassum

As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum

Similar Writers

our suggestion based on Kahkashan Tabassum

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari