thoda sa aks chaand ke paikar mein daal de | थोड़ा सा अक्स चाँद के पैकर में डाल दे - Kaif Bhopali

thoda sa aks chaand ke paikar mein daal de
tu aa ke jaan raat ke manzar mein daal de

jis din meri jabeen kisi dahleez par jhuke
us din khuda shigaaf mere sar mein daal de

allah tere saath hai mallaah ko na dekh
ye tooti footi naav samundar mein daal de

aa tere maal o zar ko main taqdees bakhsh doon
la apna maal o zar meri thokar mein daal de

bhag aise rehnuma se jo lagta hai khizr sa
jaane ye kis jagah tujhe chakkar mein daal de

is se tire makaan ka manzar hai bad-numa
chingaari mere foos ke chappar mein daal de

main ne panaah di tujhe baarish ki raat mein
tu jaate jaate aag mere ghar mein daal de

ai kaif jaagte tujhe pichhla pahar hua
ab laash jaise jism ko bistar mein daal de

थोड़ा सा अक्स चाँद के पैकर में डाल दे
तू आ के जान रात के मंज़र में डाल दे

जिस दिन मिरी जबीं किसी दहलीज़ पर झुके
उस दिन ख़ुदा शिगाफ़ मिरे सर में डाल दे

अल्लाह तेरे साथ है मल्लाह को न देख
ये टूटी फूटी नाव समुंदर में डाल दे

आ तेरे माल ओ ज़र को मैं तक़्दीस बख़्श दूँ
ला अपना माल ओ ज़र मिरी ठोकर में डाल दे

भाग ऐसे रहनुमा से जो लगता है ख़िज़्र सा
जाने ये किस जगह तुझे चक्कर में डाल दे

इस से तिरे मकान का मंज़र है बद-नुमा
चिंगारी मेरे फूस के छप्पर में डाल दे

मैं ने पनाह दी तुझे बारिश की रात में
तू जाते जाते आग मिरे घर में डाल दे

ऐ 'कैफ़' जागते तुझे पिछ्ला पहर हुआ
अब लाश जैसे जिस्म को बिस्तर में डाल दे

- Kaif Bhopali
2 Likes

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Bhopali

As you were reading Shayari by Kaif Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Bhopali

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari