tujhe kaun jaanta tha meri dosti se pehle
tira husn kuchh nahin tha meri shaayri se pehle
idhar aa raqeeb mere main tujhe gale laga luun
mera ishq be-maza tha tiri dushmani se pehle
kai inqilaab aaye kai khush-khiraam guzre
na uthi magar qayamat tiri kam-sini se pehle
meri subh ke sitaare tujhe dhundti hain aankhen
kahi raat das na jaaye tiri raushni se pehle
तुझे कौन जानता था मिरी दोस्ती से पहले
तिरा हुस्न कुछ नहीं था मिरी शाइरी से पहले
इधर आ रक़ीब मेरे मैं तुझे गले लगा लूँ
मिरा इश्क़ बे-मज़ा था तिरी दुश्मनी से पहले
कई इंक़िलाब आए कई ख़ुश-ख़िराम गुज़रे
न उठी मगर क़यामत तिरी कम-सिनी से पहले
मिरी सुब्ह के सितारे तुझे ढूँडती हैं आँखें
कहीं रात डस न जाए तिरी रौशनी से पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Andhera Shayari Shayari