ye daadhiyaan ye tilak dhaariyaan nahin chaltiin
hamaare ahad mein makkaariyaan nahin chaltiin
qabeele waalon ke dil jodiye mere sardaar
saroon ko kaat ke sardaariyaan nahin chaltiin
bura na maan agar yaar kuchh bura kah de
dilon ke khel mein khuddaariyaan nahin chaltiin
chhalk chhalk padeen aankhon ki gaagaren akshar
sambhal sambhal ke ye panhaariyaan nahin chaltiin
janaab-e-'kaif ye dilli hai meer o ghalib ki
yahan kisi ki taraf-daariyaan nahin chaltiin
ये दाढ़ियाँ ये तिलक धारियाँ नहीं चलतीं
हमारे अहद में मक्कारियाँ नहीं चलतीं
क़बीले वालों के दिल जोड़िए मेरे सरदार
सरों को काट के सरदारियाँ नहीं चलतीं
बुरा न मान अगर यार कुछ बुरा कह दे
दिलों के खेल में ख़ुद्दारियाँ नहीं चलतीं
छलक छलक पड़ीं आँखों की गागरें अक्सर
सँभल सँभल के ये पनहारियाँ नहीं चलतीं
जनाब-ए-'कैफ़' ये दिल्ली है 'मीर'-ओ-'ग़ालिब' की
यहाँ किसी की तरफ़-दारियाँ नहीं चलतीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Friendship Shayari Shayari