kahi se laut ke ham ladhkadaaye hain kya kya
sitaare zer-e-qadam raat aaye hain kya kya
nasheb-e-hasti se afsos ham ubhar na sake
faraaz-e-daar se paighaam aaye hain kya kya
jab us ne haar ke khanjar zameen pe fenk diya
tamaam zakham-e-jigar muskuraaye hain kya kya
chhata jahaan se us awaaz ka ghana baadal
wahin se dhoop ne talve jalaae hain kya kya
utha ke sar mujhe itna to dekh lene de
ki qatl-gaah mein deewane aaye hain kya kya
kahi andhere se maanoos ho na jaaye adab
charaagh tez hawa ne bujaaye hain kya kya
कहीं से लौट के हम लड़खड़ाए हैं क्या क्या
सितारे ज़ेर-ए-क़दम रात आए हैं क्या क्या
नशेब-ए-हस्ती से अफ़्सोस हम उभर न सके
फ़राज़-ए-दार से पैग़ाम आए हैं क्या क्या
जब उस ने हार के ख़ंजर ज़मीं पे फेंक दिया
तमाम ज़ख़्म-ए-जिगर मुस्कुराए हैं क्या क्या
छटा जहाँ से उस आवाज़ का घना बादल
वहीं से धूप ने तलवे जलाए हैं क्या क्या
उठा के सर मुझे इतना तो देख लेने दे
कि क़त्ल-गाह में दीवाने आए हैं क्या क्या
कहीं अँधेरे से मानूस हो न जाए अदब
चराग़ तेज़ हवा ने बुझाए हैं क्या क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Pollution Shayari Shayari