khaar-o-khas to uthe raasta to chale | ख़ार-ओ-ख़स तो उठें रास्ता तो चले - Kaifi Azmi

khaar-o-khas to uthe raasta to chale
main agar thak gaya qaafila to chale

chaand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam
khair bujhne do un ko hawa to chale

haakim-e-shahr ye bhi koi shehar hai
masjidein band hain may-kada to chale

us ko mazhab kaho ya siyaasat kaho
khud-kushi ka hunar tum sikha to chale

itni laashein main kaise utha paaoonga
aap eenton ki hurmat bacha to chale

belche laao kholo zameen ki taheen
main kahaan dafn hoon kuchh pata to chale

ख़ार-ओ-ख़स तो उठें रास्ता तो चले
मैं अगर थक गया क़ाफ़िला तो चले

चाँद सूरज बुज़ुर्गों के नक़्श-ए-क़दम
ख़ैर बुझने दो उन को हवा तो चले

हाकिम-ए-शहर ये भी कोई शहर है
मस्जिदें बंद हैं मय-कदा तो चले

उस को मज़हब कहो या सियासत कहो
ख़ुद-कुशी का हुनर तुम सिखा तो चले

इतनी लाशें मैं कैसे उठा पाऊँगा
आप ईंटों की हुरमत बचा तो चले

बेलचे लाओ खोलो ज़मीं की तहें
मैं कहाँ दफ़्न हूँ कुछ पता तो चले

- Kaifi Azmi
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari