suna karo meri jaan in se un se afsaane | सुना करो मिरी जां इन से उन से अफ़्साने

  - Kaifi Azmi

suna karo meri jaan in se un se afsaane
sab ajnabi hain yahaan kaun kis ko pahchaane

yahaan se jald guzar jaao qafile waalo
hain meri pyaas ke phoonke hue ye veeraane

mere junoon-e-parastish se tang aa gaye log
suna hai band kiye ja rahe hain but-khaane

jahaan se pichhle pahar koi tishna-kaam utha
wahin pe tode hain yaaron ne aaj paimaane

bahaar aaye to mera salaam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sehra ne

hua hai hukm ki kaafi ko sangsaar karo
maseeh baithe hain chhup ke kahaan khuda jaane

सुना करो मिरी जां इन से उन से अफ़्साने
सब अजनबी हैं यहां कौन किस को पहचाने

यहां से जल्द गुज़र जाओ क़ाफ़िले वालो
हैं मेरी प्यास के फूंके हुए ये वीराने

मिरे जुनून-ए-परस्तिश से तंग आ गए लोग
सुना है बंद किए जा रहे हैं बुत-ख़ाने

जहां से पिछले पहर कोई तिश्ना-काम उठा
वहीं पे तोड़े हैं यारों ने आज पैमाने

बहार आए तो मेरा सलाम कह देना
मुझे तो आज तलब कर लिया है सहरा ने

हुआ है हुक्म कि 'कैफ़ी' को संगसार करो
मसीह बैठे हैं छुप के कहां ख़ुदा जाने

  - Kaifi Azmi

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari