tum itna jo muskuraa rahe ho
kya gham hai jis ko chhupa rahe ho
aankhon mein nami hasi labon par
kya haal hai kya dikha rahe ho
ban jaayenge zahar peete peete
ye ashk jo peete ja rahe ho
jin zakhamon ko waqt bhar chala hai
tum kyun unhen chhede ja rahe ho
rekhaon ka khel hai muqaddar
rekhaon se maat kha rahe ho
तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो
क्या ग़म है जिस को छुपा रहे हो
आँखों में नमी हँसी लबों पर
क्या हाल है क्या दिखा रहे हो
बन जाएँगे ज़हर पीते पीते
ये अश्क जो पीते जा रहे हो
जिन ज़ख़्मों को वक़्त भर चला है
तुम क्यूँ उन्हें छेड़े जा रहे हो
रेखाओं का खेल है मुक़द्दर
रेखाओं से मात खा रहे हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Kismat Shayari Shayari