kaho to kabhi tum koi baat hamse
chhipaate hi rahte ho jazbaat hamse
na aankhen na baatein na saansen na hi dil
haan lekin milaao kabhi haath hamse
kisi aur ka koi haq bhi nahin hai
kahaani ki teri shuruaat ham se
hamaare alaava na ho koi hamsa
teri jeet hamse teri maat hamse
jidhar bhi nazar hain hai charche tere hi
bahut achhe hain tere haalaat hamse
कहो तो कभी तुम कोई बात हमसे
छिपाते ही रहते हो जज़्बात हमसे
न आँखें न बातें न साँसें न ही दिल
हाँ लेकिन मिलाओ कभी हाथ हमसे
किसी और का कोई हक़ भी नहीं है
कहानी की तेरी शुरूआत हम से
हमारे अलावा न हो कोई हमसा
तेरी जीत हमसे तेरी मात हमसे
जिधर भी नज़र हैं है चर्चे तेरे ही
बहुत अच्छे हैं तेरे हालात हमसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Nadeem khan' Kaavish"
our suggestion based on "Nadeem khan' Kaavish"
As you were reading Child labour Shayari Shayari