waqt ke dar par bhi hai bahut kuch waqt ke dar se aage bhi | वक़्त के दर पर भी है बहुत कुछ वक़्त के दर से आगे भी - Kaleem Aajiz

waqt ke dar par bhi hai bahut kuch waqt ke dar se aage bhi
shaam-o-sehar ke saath bhi chaliye shaam-o-sehar se aage bhi

aql-o-khird ke hangaamon mein shauq ka daaman chhoot na jaaye
shauq bashar ko le jaata hai aql-e-bashar se aage bhi

daar-o-rasan ki resha-davaani gardan-o-sar tak rahti hai
ahl-e-junoon ka paanv raha hai gardan-o-sar se aage bhi

mere ghar ko aag laga kar hum-saayon ko hansne do
shole badh kar ja pahunchege mere ghar se aage bhi

ishq ne raah-e-wafa samjhaai samjhaane ke b'ad kaha
waqt pada to jaana hoga raahguzar se aage bhi

shaayar fikr-o-nazar ka maalik dil ka sultaan ghar ka faqeer
duniya ka paamaal qadam bhi duniya bhar se aage bhi

aankhen jo kuch dekh rahi hain us se dhoka khaayein kya
dil to aajiz dekh raha hai hadd-e-nazar se aage bhi

वक़्त के दर पर भी है बहुत कुछ वक़्त के दर से आगे भी
शाम-ओ-सहर के साथ भी चलिए शाम-ओ-सहर से आगे भी

अक़्ल-ओ-ख़िरद के हंगामों में शौक़ का दामन छूट न जाए
शौक़ बशर को ले जाता है अक़्ल-ए-बशर से आगे भी

दार-ओ-रसन की रेशा-दवानी गर्दन-ओ-सर तक रहती है
अहल-ए-जुनूँ का पाँव रहा है गर्दन-ओ-सर से आगे भी

मेरे घर को आग लगा कर हम-सायों को हँसने दो
शोले बढ़ कर जा पहुँचेंगे मेरे घर से आगे भी

इश्क़ ने राह-ए-वफ़ा समझाई समझाने के ब'अद कहा
वक़्त पड़ा तो जाना होगा राहगुज़र से आगे भी

शाएर फ़िक्र-ओ-नज़र का मालिक दिल का सुल्ताँ घर का फ़क़ीर
दुनिया का पामाल क़दम भी दुनिया भर से आगे भी

आँखें जो कुछ देख रही हैं उस से धोका खाएँ क्या
दिल तो 'आजिज़' देख रहा है हद्द-ए-नज़र से आगे भी

- Kaleem Aajiz
0 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari