ye samundar hai kinaare hi kinaare jaao | ये समुंदर है किनारे ही किनारे जाओ - Kaleem Aajiz

ye samundar hai kinaare hi kinaare jaao
ishq har shakhs ke bas ka nahin pyaare jaao

yun to maqtal mein tamaashaai bahut aate hain
aao us waqt ki jis waqt pukaare jaao

dil ki baazi lage phir jaan ki baazi lag jaaye
ishq mein haar ke baitho nahin haare jaao

kaam ban jaaye agar zulf-e-junoon ban jaaye
is liye is ko sanwaaro ki sanwaare jaao

koi rasta koi manzil ise dushwaar nahin
jis jagah chaaho mohabbat ke sahaare jaao

ham to mitti se ugaayenge mohabbat ke gulaab
tum agar todne jaate ho sitaare jaao

doobna hoga agar doobna taqdeer mein hai
chahe kashti pe raho chahe kinaare jaao

tum hi socho bhala ye shauq koi shauq hua
aaj unchaai pe baitho kal utaare jaao

maut se khel ke karte ho mohabbat aajiz
mujh ko dar hai kahi be-maut na maare jaao

ये समुंदर है किनारे ही किनारे जाओ
इश्क़ हर शख़्स के बस का नहीं प्यारे जाओ

यूँ तो मक़्तल में तमाशाई बहुत आते हैं
आओ उस वक़्त कि जिस वक़्त पुकारे जाओ

दिल की बाज़ी लगे फिर जान की बाज़ी लग जाए
इश्क़ में हार के बैठो नहीं हारे जाओ

काम बन जाए अगर ज़ुल्फ़-ए-जुनूँ बन जाए
इस लिए इस को सँवारो कि सँवारे जाओ

कोई रस्ता कोई मंज़िल इसे दुश्वार नहीं
जिस जगह चाहो मोहब्बत के सहारे जाओ

हम तो मिट्टी से उगाएँगे मोहब्बत के गुलाब
तुम अगर तोड़ने जाते हो सितारे जाओ

डूबना होगा अगर डूबना तक़दीर में है
चाहे कश्ती पे रहो चाहे किनारे जाओ

तुम ही सोचो भला ये शौक़ कोई शौक़ हुआ
आज ऊँचाई पे बैठो कल उतारे जाओ

मौत से खेल के करते हो मोहब्बत 'आजिज़'
मुझ को डर है कहीं बे-मौत न मारे जाओ

- Kaleem Aajiz
0 Likes

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari