meri shaayeri mein na raqs-e-jaam na may ki rang-fishaaniyaa
wahi dukh-bharon ki hikaayaten wahi dil-jalon ki kahaaniyaan
ye jo aah-o-naala-o-dard hain kisi bewafa ki nishaaniyaan
yahi mere din ke rafeeq hain yahi meri raat ki raaniyaan
ye meri zabaan pe ghazal nahin main suna raha hoon kahaaniyaan
ki kisi ke ahad-e-shabaab par mittiin kaisi kaisi javaaniyaan
kabhi aansuon ko sukha gaeein mere soz-e-dil ki haraaratein
kabhi dil ki naav dubo gaeein mere aansuon ki ravaaniyaan
abhi us ko is ki khabar kahaan ki qadam kahaan hai nazar kahaan
abhi maslahat ka guzar kahaan ki nayi nayi hain javaaniyaan
ye bayaan-e-haal ye guftugoo hai mera nichoda hua lahu
abhi sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaaniyaan
मिरी शाएरी में न रक़्स-ए-जाम न मय की रंग-फ़िशानियाँ
वही दुख-भरों की हिकायतें वही दिल-जलों की कहानियाँ
ये जो आह-ओ-नाला-ओ-दर्द हैं किसी बेवफ़ा की निशानियाँ
यही मेरे दिन के रफ़ीक़ हैं यही मेरी रात की रानियाँ
ये मिरी ज़बाँ पे ग़ज़ल नहीं मैं सुना रहा हूँ कहानियाँ
कि किसी के अहद-ए-शबाब पर मिटीं कैसी कैसी जवानियाँ
कभी आँसुओं को सुखा गईं मिरे सोज़-ए-दिल की हरारतें
कभी दिल की नाव डुबो गईं मिरे आँसुओं की रवानियाँ
अभी उस को इस की ख़बर कहाँ कि क़दम कहाँ है नज़र कहाँ
अभी मस्लहत का गुज़र कहाँ कि नई नई हैं जवानियाँ
ये बयान-ए-हाल ये गुफ़्तुगू है मिरा निचोड़ा हुआ लहू
अभी सुन लो मुझ से कि फिर कभू न सुनोगे ऐसी कहानियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Neend Shayari Shayari