jahaan gham mila uthaya phir use ghazal mein dhaala | जहाँ ग़म मिला उठाया फिर उसे ग़ज़ल में ढाला

  - Kaleem Aajiz

jahaan gham mila uthaya phir use ghazal mein dhaala
yahi dard-e-sar khareeda yahi rog ham ne paala

tire haath se mili hai mujhe aansuon ki maala
tiri zulf ho do-goonaa tira husn ho do-baalaa

ye samaan use dikhaaun saba ja use bula la
na bahaar hai na saaqi na sharaab hai na pyaala

mere dard ki haqeeqat koi mere dil se pooche
ye charaagh vo hai jis se mere ghar mein hai ujaala

use anjuman mubarak mujhe fikr-o-fan mubarak
yahi mera takht-e-zarreen yahin meri mirg-chaalaa

जहाँ ग़म मिला उठाया फिर उसे ग़ज़ल में ढाला
यही दर्द-ए-सर ख़रीदा यही रोग हम ने पाला

तिरे हाथ से मिली है मुझे आँसुओं की माला
तिरी ज़ुल्फ़ हो दो-गूना तिरा हुस्न हो दो-बाला

ये समाँ उसे दिखाऊँ सबा जा उसे बुला ला
न बहार है न साक़ी न शराब है न प्याला

मिरे दर्द की हक़ीक़त कोई मेरे दिल से पूछे
ये चराग़ वो है जिस से मिरे घर में है उजाला

उसे अंजुमन मुबारक मुझे फ़िक्र-ओ-फ़न मुबारक
यही मेरा तख़्त-ए-ज़र्रीं यहीं मेरी मिर्ग-छाला

  - Kaleem Aajiz

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari