badli si apni aankhon mein chhaai hui si hai | बदली सी अपनी आँखों में छाई हुई सी है - Kaleem Aajiz

badli si apni aankhon mein chhaai hui si hai
bhooli hui si yaad phir aayi hui si hai

mat haath rakh sulagte kaleje pe hum-nasheen
ye aag dekhne mein bujhaai hui si hai

leta hoon saans bhi to bhatkata hai tan-badan
rag rag mein ek nok samaai hui si hai

be-saakhta kahe hai jo dekhe hai zakhm-e-dil
ye chot to unhin ki lagaaee hui si hai

muddat hui jalai gai shaakh-e-aashiyaan
ab tak isee tarah se jalai hui si hai

jo in ki baat hai wahi meri ghazal ki baat
lekin zara ye baat banaai hui si hai

chhedi ghazal jo tum ne to aisa laga kaleem
khushboo kisi ki zulf ki aayi hui si hai

बदली सी अपनी आँखों में छाई हुई सी है
भूली हुई सी याद फिर आई हुई सी है

मत हाथ रख सुलगते कलेजे पे हम-नशीं
ये आग देखने में बुझाई हुई सी है

लेता हूँ साँस भी तो भटकता है तन-बदन
रग रग में एक नोक समाई हुई सी है

बे-साख़्ता कहे है जो देखे है ज़ख़्म-ए-दिल
ये चोट तो उन्हीं की लगाई हुई सी है

मुद्दत हुई जलाई गई शाख़-ए-आशियाँ
अब तक इसी तरह से जलाई हुई सी है

जो इन की बात है वही मेरी ग़ज़ल की बात
लेकिन ज़रा ये बात बनाई हुई सी है

छेड़ी ग़ज़ल जो तुम ने तो ऐसा लगा 'कलीम'
ख़ुशबू किसी की ज़ुल्फ़ की आई हुई सी है

- Kaleem Aajiz
1 Like

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari