tujhe kaleem koi kaise khush-kalaam kahe
jo din ko raat bataaye sehar ko shaam kahe
piye baghair kaho to ye tishna-kaam kahe
vo raaz-e-may jo suraahi kahe na jaam kahe
na jaane rooth ke baitha hai dil ka chain kahaan
mile to us ko hamaara koi salaam kahe
kahoon jo brahman o shaikh se haqeeqat-e-ishq
khuda khuda ye pukaare vo raam raam kahe
main gham ki raagini be-waqt bhi agar chhedu
zabaan-e-waqt mujhe waqt ka imaam kahe
तुझे 'कलीम' कोई कैसे ख़ुश-कलाम कहे
जो दिन को रात बताए सहर को शाम कहे
पिए बग़ैर कहो तो ये तिश्ना-काम कहे
वो राज़-ए-मय जो सुराही कहे न जाम कहे
न जाने रूठ के बैठा है दिल का चैन कहाँ
मिले तो उस को हमारा कोई सलाम कहे
कहूँ जो बरहमन ओ शैख़ से हक़ीक़त-ए-इश्क़
ख़ुदा ख़ुदा ये पुकारे वो राम राम कहे
मैं ग़म की रागनी बे-वक़्त भी अगर छेड़ूँ
ज़बान-ए-वक़्त मुझे वक़्त का इमाम कहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Dard Shayari Shayari