har chot pe pooche hai bata yaad rahegi | हर चोट पे पूछे है बता याद रहेगी

  - Kaleem Aajiz

har chot pe pooche hai bata yaad rahegi
ham ko ye zamaane ki ada yaad rahegi

din raat ke aansu sehar o shaam ki aahen
is baagh ki ye aab-o-hawa yaad rahegi

kis dhoom se badhti hui pahunchee hai kahaan tak
duniya ko tiri zulf-e-rasa yaad rahegi

karte rahenge tum se mohabbat bhi wafa bhi
go tum ko mohabbat na wafa yaad rahegi

kis baat ka tu qaul-o-qasam le hai brahman
har baat buton ki b-khuda yaad rahegi

chalte gaye ham phool banaate gaye chaale
sehra ko meri laghizish-e-paa yaad rahegi

jis bazm mein tum jaaoge us bazm ko aajiz
ye guftugoo-e-be-sar-o-pa yaad rahegi

हर चोट पे पूछे है बता याद रहेगी
हम को ये ज़माने की अदा याद रहेगी

दिन रात के आँसू सहर ओ शाम की आहें
इस बाग़ की ये आब-ओ-हवा याद रहेगी

किस धूम से बढ़ती हुई पहुँची है कहाँ तक
दुनिया को तिरी ज़ुल्फ़-ए-रसा याद रहेगी

करते रहेंगे तुम से मोहब्बत भी वफ़ा भी
गो तुम को मोहब्बत न वफ़ा याद रहेगी

किस बात का तू क़ौल-ओ-क़सम ले है बरहमन
हर बात बुतों की ब-ख़ुदा याद रहेगी

चलते गए हम फूल बनाते गए छाले
सहरा को मिरी लग़्ज़िश-ए-पा याद रहेगी

जिस बज़्म में तुम जाओगे उस बज़्म को 'आजिज़'
ये गुफ़्तुगू-ए-बे-सर-ओ-पा याद रहेगी

  - Kaleem Aajiz

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari