kis naaz kis andaaz se tum haaye chalo ho | किस नाज़ किस अंदाज़ से तुम हाए चलो हो

  - Kaleem Aajiz

kis naaz kis andaaz se tum haaye chalo ho
roz ek ghazal ham se kahlwaaye chalo ho

rakhna hai kahi paanv to rakho ho kahi paanv
chalna zara aaya hai to itraaye chalo ho

may mein koi khaami hai na saaghar mein koi khot
peena nahin aaye hai to chhalkaaye chalo ho

ham kuchh nahin kahte hain koi kuchh nahin kehta
tum kya ho tumheen sab se kahlwaaye chalo ho

किस नाज़ किस अंदाज़ से तुम हाए चलो हो
रोज़ एक ग़ज़ल हम से कहलवाए चलो हो

रखना है कहीं पाँव तो रक्खो हो कहीं पाँव
चलना ज़रा आया है तो इतराए चलो हो

मय में कोई ख़ामी है न साग़र में कोई खोट
पीना नहीं आए है तो छलकाए चलो हो

हम कुछ नहीं कहते हैं कोई कुछ नहीं कहता
तुम क्या हो तुम्हीं सब से कहलवाए चलो हो

  - Kaleem Aajiz

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari