bulaate kyun ho aajiz ko bulaana kya maza de hai | बुलाते क्यूँ हो 'आजिज़' को बुलाना क्या मज़ा दे है

  - Kaleem Aajiz

bulaate kyun ho aajiz ko bulaana kya maza de hai
ghazal kam-bakht kuchh aisi parhe hai dil hila de hai

mohabbat kya bala hai chain lena hi bhula de hai
zara bhi aankh jhapke hai to betaabi jaga de hai

tire haathon ki surkhi khud suboot is baat ka de hai
ki jo kah de hai deewaana vo kar ke bhi dikha de hai

gazab ki fitna-saazi aaye hai us aafat-e-jaan ko
sharaarat khud kare hai aur hamein tohmat laga de hai

meri barbaadiyon ka daal kar ilzaam duniya par
vo zalim apne munh par haath rakh kar muskuraa de hai

ab insaano ki basti ka ye aalam hai ki mat poocho
lage hai aag ik ghar mein to ham-saaya hawa de hai

kaleja thaam kar sunte hain lekin sun hi lete hain
mere yaaron ko mere gham ki talkhi bhi maza de hai

बुलाते क्यूँ हो 'आजिज़' को बुलाना क्या मज़ा दे है
ग़ज़ल कम-बख़्त कुछ ऐसी पढ़े है दिल हिला दे है

मोहब्बत क्या बला है चैन लेना ही भुला दे है
ज़रा भी आँख झपके है तो बेताबी जगा दे है

तिरे हाथों की सुर्ख़ी ख़ुद सुबूत इस बात का दे है
कि जो कह दे है दीवाना वो कर के भी दिखा दे है

ग़ज़ब की फ़ित्ना-साज़ी आए है उस आफ़त-ए-जाँ को
शरारत ख़ुद करे है और हमें तोहमत लगा दे है

मिरी बर्बादियों का डाल कर इल्ज़ाम दुनिया पर
वो ज़ालिम अपने मुँह पर हाथ रख कर मुस्कुरा दे है

अब इंसानों की बस्ती का ये आलम है कि मत पूछो
लगे है आग इक घर में तो हम-साया हवा दे है

कलेजा थाम कर सुनते हैं लेकिन सुन ही लेते हैं
मिरे यारों को मेरे ग़म की तल्ख़ी भी मज़ा दे है

  - Kaleem Aajiz

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari