zakhamon ke naye phool khilaane ke liye aa | ज़ख़्मों के नए फूल खिलाने के लिए आ

  - Kaleem Aajiz

zakhamon ke naye phool khilaane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilaane ke liye aa

masti liye aankhon mein bikhere hue zulfen
aa phir mujhe deewaana banaane ke liye aa

ab lutf isee mein hai maza hai to isee mein
aa ai mere mehboob sataane ke liye aa

aa rakh dehan-e-zakhm pe phir ungaliyaan apni
dil baansuri teri hai bajaane ke liye aa

haan kuchh bhi to deerina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhaane ke liye aa

maana ki mere ghar se adavat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagaane ke liye aa

pyaare tiri soorat se bhi achhi hai jo tasveer
main ne tujhe rakhi hai dikhaane ke liye aa

aashufta kahe hai koi deewaana kahe hai
main kaun hoon duniya ko bataane ke liye aa

kuchh roz se ham shehar mein rusva na hue hain
aa phir koi ilzaam lagaane ke liye aa

ab ke jo vo aa jaaye to aajiz use le kar
mehfil mein ghazal apni sunaane ke liye aa

ज़ख़्मों के नए फूल खिलाने के लिए आ
फिर मौसम-ए-गुल याद दिलाने के लिए आ

मस्ती लिए आँखों में बिखेरे हुए ज़ुल्फ़ें
आ फिर मुझे दीवाना बनाने के लिए आ

अब लुत्फ़ इसी में है मज़ा है तो इसी में
आ ऐ मिरे महबूब सताने के लिए आ

आ रख दहन-ए-ज़ख़्म पे फिर उँगलियाँ अपनी
दिल बाँसुरी तेरी है बजाने के लिए आ

हाँ कुछ भी तो देरीना मोहब्बत का भरम रख
दिल से न आ दुनिया को दिखाने के लिए आ

माना कि मिरे घर से अदावत ही तुझे है
रहने को न आ आग लगाने के लिए आ

प्यारे तिरी सूरत से भी अच्छी है जो तस्वीर
मैं ने तुझे रक्खी है दिखाने के लिए, आ

आशुफ़्ता कहे है कोई दीवाना कहे है
मैं कौन हूँ दुनिया को बताने के लिए आ

कुछ रोज़ से हम शहर में रुस्वा न हुए हैं
आ फिर कोई इल्ज़ाम लगाने के लिए आ

अब के जो वो आ जाए तो 'आजिज़' उसे ले कर
महफ़िल में ग़ज़ल अपनी सुनाने के लिए आ

  - Kaleem Aajiz

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari