haqeeqaton ka jalaal denge sadaaqaton ka jamaal denge
tujhe bhi ham ai gham-e-zamaana ghazal ke saanche mein dhaal denge
tapish patingo ko bakhsh denge lahu charaagon mein dhaal denge
ham un ki mehfil mein rah gaye hain to un ki mehfil sanbhaal denge
na bandaa-e-aql-o-hosh denge na ahl-e-fikr-o-khyaal denge
tumhaari zulfon ko jo daraazi tumhaare aashufta-haal denge
ye aql waale isee tarah se hamein fareb-e-kamaal denge
junoon ke daaman se phool chun kar khird ke daaman mein daal denge
hamaari aashuftagi salaamat suljh hi jaayegi zulf-e-dauraan
jo pech-o-kham rah gaya hai baaki vo pech-o-kham bhi nikaal denge
janaab-e-sheikh apni fikr kijeye ki ab ye farmaan-e-barahman hai
buton ko sajda nahin karoge to but-kade se nikaal denge
हक़ीक़तों का जलाल देंगे सदाक़तों का जमाल देंगे
तुझे भी हम ऐ ग़म-ए-ज़माना ग़ज़ल के साँचे में ढाल देंगे
तपिश पतिंगों को बख़्श देंगे लहू चराग़ों में ढाल देंगे
हम उन की महफ़िल में रह गए हैं तो उन की महफ़िल सँभाल देंगे
न बंदा-ए-अक़्ल-ओ-होश देंगे न अहल-ए-फ़िक्र-ओ-ख़याल देंगे
तुम्हारी ज़ुल्फ़ों को जो दराज़ी तुम्हारे आशुफ़्ता-हाल देंगे
ये अक़्ल वाले इसी तरह से हमें फ़रेब-ए-कमाल देंगे
जुनूँ के दामन से फूल चुन कर ख़िरद के दामन में डाल देंगे
हमारी आशुफ़्तगी सलामत सुलझ ही जाएगी ज़ुल्फ़-ए-दौराँ
जो पेच-ओ-ख़म रह गया है बाक़ी वो पेच-ओ-ख़म भी निकाल देंगे
जनाब-ए-शैख़ अपनी फ़िक्र कीजे कि अब ये फ़रमान-ए-बरहमन है
बुतों को सज्दा नहीं करोगे तो बुत-कदे से निकाल देंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Rose Shayari Shayari