is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho | इस नाज़ इस अंदाज़ से तुम हाए चलो हो - Kaleem Aajiz

is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho
roz ek ghazal hum se kahlwaaye chalo ho

rakhna hai kahi paanv to rakho ho kahi paanv
chalna zara aaya hai to itraaye chalo ho

deewana-e-gul qaidi-e-zanjeer hain aur tum
kya thaatt se gulshan ki hawa khaaye chalo ho

may mein koi khaami hai na saaghar mein koi khot
peena nahin aaye hai to chhalkaaye chalo ho

hum kuch nahin kahte hain koi kuch nahin kehta
tum kya ho tumheen sab se kahlwaaye chalo ho

zulfon ki to fitrat hi hai lekin mere pyaare
zulfon se ziyaada tumheen bal khaaye chalo ho

vo shokh sitamgar to sitam dhaaye chale hai
tum ho ki kaleem apni ghazal gaaye chalo ho

इस नाज़ इस अंदाज़ से तुम हाए चलो हो
रोज़ एक ग़ज़ल हम से कहलवाए चलो हो

रखना है कहीं पाँव तो रक्खो हो कहीं पाँव
चलना ज़रा आया है तो इतराए चलो हो

दीवाना-ए-गुल क़ैदी-ए-ज़ंजीर हैं और तुम
क्या ठाट से गुलशन की हवा खाए चलो हो

मय में कोई ख़ामी है न साग़र में कोई खोट
पीना नहीं आए है तो छलकाए चलो हो

हम कुछ नहीं कहते हैं कोई कुछ नहीं कहता
तुम क्या हो तुम्हीं सब से कहलवाए चलो हो

ज़ुल्फ़ों की तो फ़ितरत ही है लेकिन मिरे प्यारे
ज़ुल्फ़ों से ज़ियादा तुम्हीं बल खाए चलो हो

वो शोख़ सितमगर तो सितम ढाए चले है
तुम हो कि 'कलीम' अपनी ग़ज़ल गाए चलो हो

- Kaleem Aajiz
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari