kis tarah koi dhoop mein pighle hai jale hai | किस तरह कोई धूप में पिघले है जले है

  - Kaleem Aajiz

kis tarah koi dhoop mein pighle hai jale hai
ye baat vo kya jaane jo saaye mein pale hai

dil dard ki bhatti mein kai baar jale hai
tab ek ghazal husn ke saanche mein dhale hai

kya dil hai ki ik saans bhi aaraam na le hai
mehfil se jo nikle hai to khilwat mein jale hai

bhooli hui yaad aa ke kaleje ko male hai
jab shaam guzar jaaye hai jab raat dhale hai

haan dekh zara kya tire qadmon ke tale hai
thokar bhi vo khaaye hai jo itra ke chale hai

किस तरह कोई धूप में पिघले है जले है
ये बात वो क्या जाने जो साए में पले है

दिल दर्द की भट्टी में कई बार जले है
तब एक ग़ज़ल हुस्न के साँचे में ढले है

क्या दिल है कि इक साँस भी आराम न ले है
महफ़िल से जो निकले है तो ख़ल्वत में जले है

भूली हुई याद आ के कलेजे को मले है
जब शाम गुज़र जाए है जब रात ढले है

हाँ देख ज़रा क्या तिरे क़दमों के तले है
ठोकर भी वो खाए है जो इतरा के चले है

  - Kaleem Aajiz

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari