meri masti ke afsaane rahenge
jahaan gardish mein paimaane rahenge
nikale jaayenge ahl-e-mohabbat
ab is mehfil mein begaane rahenge
yahi andaaz-e-may-noshi rahega
to ye sheeshe na paimaane rahenge
rahega silsila daar-o-rasan ka
jahaan do chaar deewane rahenge
jinhen gulshan mein thukraaya gaya hai
unhi phoolon ke afsaane rahenge
khird zanjeer pahnaati rahegi
jo deewane hain deewane rahenge
मिरी मस्ती के अफ़्साने रहेंगे
जहाँ गर्दिश में पैमाने रहेंगे
निकाले जाएँगे अहल-ए-मोहब्बत
अब इस महफ़िल में बेगाने रहेंगे
यही अंदाज़-ए-मय-नोशी रहेगा
तो ये शीशे न पैमाने रहेंगे
रहेगा सिलसिला दार-ओ-रसन का
जहाँ दो चार दीवाने रहेंगे
जिन्हें गुलशन में ठुकराया गया है
उन्ही फूलों के अफ़्साने रहेंगे
ख़िरद ज़ंजीर पहनाती रहेगी
जो दीवाने हैं दीवाने रहेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Mehman Shayari Shayari