dhadakta jaata hai dil muskuraane waalon ka
utha nahin hai abhi e'tibaar naalon ka
ye mukhtasar si hai rudaad-e-subh-e-may-khaana
zameen pe dher tha toote hue piyaalon ka
ye khauf hai ki saba ladkhada ke gir na pade
payaam le ke chali hai shikasta-haalon ka
na aayein ahl-e-khirad vaadi-e-junoon ki taraf
yahan guzar nahin daaman bachaane waalon ka
lipt lipt ke gale mil rahe the khanjar se
bade gazab ka kaleja tha marne waalon ka
धड़कता जाता है दिल मुस्कुराने वालों का
उठा नहीं है अभी ए'तिबार नालों का
ये मुख़्तसर सी है रूदाद-ए-सुब्ह-ए-मय-ख़ाना
ज़मीं पे ढेर था टूटे हुए पियालों का
ये ख़ौफ़ है कि सबा लड़खड़ा के गिर न पड़े
पयाम ले के चली है शिकस्ता-हालों का
न आएँ अहल-ए-ख़िरद वादी-ए-जुनूँ की तरफ़
यहाँ गुज़र नहीं दामन बचाने वालों का
लिपट लिपट के गले मिल रहे थे ख़ंजर से
बड़े ग़ज़ब का कलेजा था मरने वालों का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Hug Shayari Shayari