gham-e-dil hi gham-e-dauraan gham-e-jaanaana banta hai | ग़म-ए-दिल ही ग़म-ए-दौराँ ग़म-ए-जानाना बनता है

  - Kaleem Aajiz

gham-e-dil hi gham-e-dauraan gham-e-jaanaana banta hai
yahi gham sher banta hai yahi afsaana banta hai

isee se garmi-e-daar-o-rasan hai inqilaabon mein
bahaaron mein yahi zulf-o-qad-e-jaanaanaa banta hai

saroon ke khum suraahi gardanon ki jaam zakhamon ke
muhayya jab ye ho lete hain tab may-khaana banta hai

bigadta kya hai parwaane ka jal kar khaak hone mein
ki phir parwaane hi ki khaak se parwaana banta hai

nigaah-e-kam se meri chaak-damaani ko mat dekho
hazaaron hoshyaaron mein koi deewaana banta hai

khareeda ja nahin saka hai saaqi zarf rindon ka
bahut sheeshe pighalte hain to ik paimaana banta hai

mere hi dono haath aate hain kaam un ke sanwarne mein
dikhaata hai koi aaina koi shaana banta hai

bada sarmaaya hai sab kuchh luta dena mohabbat mein
faqeeraana libaas aate hain dil shaahana banta hai

ग़म-ए-दिल ही ग़म-ए-दौराँ ग़म-ए-जानाना बनता है
यही ग़म शेर बनता है यही अफ़्साना बनता है

इसी से गर्मी-ए-दार-ओ-रसन है इंक़िलाबों में
बहारों में यही ज़ुल्फ़-ओ-क़द-ए-जानाना बनता है

सरों के ख़ुम सुराही गर्दनों की जाम ज़ख़्मों के
मुहय्या जब ये हो लेते हैं तब मय-ख़ाना बनता है

बिगड़ता क्या है परवाने का जल कर ख़ाक होने में
कि फिर परवाने ही की ख़ाक से परवाना बनता है

निगाह-ए-कम से मेरी चाक-दामानी को मत देखो
हज़ारों होशयारों में कोई दीवाना बनता है

ख़रीदा जा नहीं सकता है साक़ी ज़र्फ़ रिंदों का
बहुत शीशे पिघलते हैं तो इक पैमाना बनता है

मिरे ही दोनों हाथ आते हैं काम उन के सँवरने में
दिखाता है कोई आईना कोई शाना बनता है

बड़ा सरमाया है सब कुछ लुटा देना मोहब्बत में
फ़क़ीराना लिबास आते हैं दिल शाहाना बनता है

  - Kaleem Aajiz

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari