ham ko to be-sawaal mile be-talab mile | हम को तो बे-सवाल मिले बे-तलब मिले

  - Kaleem Aajiz

ham ko to be-sawaal mile be-talab mile
ham vo nahin hain saaqi ki jab maange tab mile

fariyaad hi mein ahad-e-bahaaraan guzar gaya
aise khule ki phir na kabhi lab se lab mile

ham ye samajh rahe the humeen bad-naseeb hain
dekha to may-kade mein bahut tishna-lab mile

kis ne wafa ka ham ko wafa se diya jawaab
is raaste mein lootne waale hi sab mile

milte hain sab kisi na kisi muddaa ke saath
armaan hi raha ki koi be-sabab mile

rakha kahaan hai ishq ne aajiz ko hosh mein
mat chhedio agar kahi vo be-adab mile

हम को तो बे-सवाल मिले बे-तलब मिले
हम वो नहीं हैं साक़ी कि जब माँगें तब मिले

फ़रियाद ही में अहद-ए-बहाराँ गुज़र गया
ऐसे खुले कि फिर न कभी लब से लब मिले

हम ये समझ रहे थे हमीं बद-नसीब हैं
देखा तो मय-कदे में बहुत तिश्ना-लब मिले

किस ने वफ़ा का हम को वफ़ा से दिया जवाब
इस रास्ते में लूटने वाले ही सब मिले

मिलते हैं सब किसी न किसी मुद्दआ' के साथ
अरमान ही रहा कि कोई बे-सबब मिले

रक्खा कहाँ है इश्क़ ने 'आजिज़' को होश में
मत छेड़ियो अगर कहीं वो बे-अदब मिले

  - Kaleem Aajiz

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari