mere hi lahu par guzar-auqaat karo ho
mujh se hi ameeron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
vo dost ho dushman ko bhi tum maat karo ho
ham khaak-nasheen tum suhan-aara-e-sar-e-baam
paas aa ke milo door se kya baat karo ho
ham ko jo mila hai vo tumheen se to mila hai
ham aur bhula den tumhein kya baat karo ho
yun to kabhi munh fer ke dekho bhi nahin ho
jab waqt pade hai to mudaarat karo ho
daaman pe koi cheent na khanjar pe koi daagh
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
bakne bhi do aajiz ko jo bole hai bake hai
deewaana hai deewane se kya baat karo ho
मेरे ही लहू पर गुज़र-औक़ात करो हो
मुझ से ही अमीरों की तरह बात करो हो
दिन एक सितम एक सितम रात करो हो
वो दोस्त हो दुश्मन को भी तुम मात करो हो
हम ख़ाक-नशीं तुम सुख़न-आरा-ए-सर-ए-बाम
पास आ के मिलो दूर से क्या बात करो हो
हम को जो मिला है वो तुम्हीं से तो मिला है
हम और भुला दें तुम्हें क्या बात करो हो
यूँ तो कभी मुँह फेर के देखो भी नहीं हो
जब वक़्त पड़े है तो मुदारात करो हो
दामन पे कोई छींट न ख़ंजर पे कोई दाग़
तुम क़त्ल करो हो कि करामात करो हो
बकने भी दो 'आजिज़' को जो बोले है बके है
दीवाना है दीवाने से क्या बात करो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Dushmani Shayari Shayari