shaane ka bahut khoon-e-jigar jaaye hai pyaare
tab zulf kahi taa-b-kamar jaaye hai pyaare
jis din koi gham mujh pe guzar jaaye hai pyaare
chehra tira us roz nikhar jaaye hai pyaare
ik ghar bhi salaamat nahin ab shehr-e-wafa mein
tu aag lagaane ko kidhar jaaye hai pyaare
rahne de jafaon ki kaddi dhoop mein mujh ko
saaye mein to har shakhs thehar jaaye hai pyaare
vo baat zara si jise kahte hain gham-e-dil
samjhaane mein ik umr guzar jaaye hai pyaare
har-chand koi naam nahin meri ghazal mein
teri hi taraf sab ki nazar jaaye pyaare
शाने का बहुत ख़ून-ए-जिगर जाए है प्यारे
तब ज़ुल्फ़ कहीं ता-ब-कमर जाए है प्यारे
जिस दिन कोई ग़म मुझ पे गुज़र जाए है प्यारे
चेहरा तिरा उस रोज़ निखर जाए है प्यारे
इक घर भी सलामत नहीं अब शहर-ए-वफ़ा में
तू आग लगाने को किधर जाए है प्यारे
रहने दे जफ़ाओं की कड़ी धूप में मुझ को
साए में तो हर शख़्स ठहर जाए है प्यारे
वो बात ज़रा सी जिसे कहते हैं ग़म-ए-दिल
समझाने में इक उम्र गुज़र जाए है प्यारे
हर-चंद कोई नाम नहीं मेरी ग़ज़ल में
तेरी ही तरफ़ सब की नज़र जाए प्यारे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Aag Shayari Shayari