bayaan jab kaleem apni haalat kare hai | बयाँ जब 'कलीम' अपनी हालत करे है

  - Kaleem Aajiz

bayaan jab kaleem apni haalat kare hai
ghazal kya parhe hai qayamat kare hai

bhala aadmi tha p naadaan nikla
suna hai kisi se mohabbat kare hai

kabhi shaay'ri is ko karne na aati
usi bewafa ki badaulat kare hai

chhuri par chhuri khaaye jaaye hai kab se
aur ab tak jiye hai karaamat kare hai

kare hai adavat bhi vo is ada se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai

ye fitne jo har ik taraf uth rahe hain
wahi baitha baitha sharaarat kare hai

qaba ek din chaak us ki bhi hogi
junoon kab kisi ki ri'ayat kare hai

बयाँ जब 'कलीम' अपनी हालत करे है
ग़ज़ल क्या पढ़े है क़यामत करे है

भला आदमी था प नादान निकला
सुना है किसी से मोहब्बत करे है

कभी शाइ'री इस को करनी न आती
उसी बेवफ़ा की बदौलत करे है

छुरी पर छुरी खाए जाए है कब से
और अब तक जिए है करामत करे है

करे है अदावत भी वो इस अदा से
लगे है कि जैसे मोहब्बत करे है

ये फ़ित्ने जो हर इक तरफ़ उठ रहे हैं
वही बैठा बैठा शरारत करे है

क़बा एक दिन चाक उस की भी होगी
जुनूँ कब किसी की रिआ'यत करे है

  - Kaleem Aajiz

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari