meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche | मेरी सुब्ह-ए-ग़म बला से कभी शाम तक न पहुंचे

  - Kaleem Aajiz

meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunche
mujhe dar ye hai buraai tere naam tak na pahunche

mere paas kya vo aate mera dard kya mitaate
mera haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche

ho kisi ka mujh pe ehsaanye nahin pasand mujh ko
teri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunche

teri berukhi pe zalim mera jee ye chahta hai
ki wafa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunche

main fughan-e-be-asar ka kabhi motarif nahin hoon
vo sada hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche

vo sanam bigad ke mujh se mera kya bigaad lega
kabhi raaz khol doomain to salaam tak na pahunche

mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain
jo nikal ke aashiyaan-se kabhi daam tak na pahunche

unhen mehrbaansamajh len mujhe kya garz padi hai
vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunche

hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin
jo gareeb tishna-lab the wahi jaam tak na pahunche

jise maine jagmagaya usi anjuman mein saaqi
mera zikr tak na aaye mera naam tak na pahunche

tumhein yaad hi na aaunye hai aur baat warna
main nahin hoondoor itna ki salaam tak na pahunche

मेरी सुब्ह-ए-ग़म बला से कभी शाम तक न पहुंचे
मुझे डर ये है बुराई तेरे नाम तक न पहुंचे

मेरे पास क्या वो आते मेरा दर्द क्या मिटाते
मेरा हाल देखने को लब-ए-बाम तक न पहुंचे

हो किसी का मुझ पे एहसांये नहीं पसंद मुझ को
तेरी सुब्ह की तजल्ली मेरी शाम तक न पहुंचे

तेरी बेरुख़ी पे ज़ालिम मेरा जी ये चाहता है
कि वफ़ा का मेरे लब पर कभी नाम तक न पहुंचे

मैं फ़ुग़ान-ए-बे-असर का कभी मोतरिफ़ नहीं हूं
वो सदा ही क्या जो उन के दर-ओ-बाम तक न पहुंचे

वो सनम बिगड़ के मुझ से मेरा क्या बिगाड़ लेगा
कभी राज़ खोल दूंमैं तो सलाम तक न पहुंचे

मुझे लज़्ज़त-ए-असीरी का सबक़ पढ़ा रहे हैं
जो निकल के आशियांसे कभी दाम तक न पहुंचे

उन्हें मेहरबांसमझ लें मुझे क्या ग़रज़ पड़ी है
वो करम का हाथ ही क्या जो अवाम तक न पहुंचे

हुए फ़ैज़-ए-मय-कदा से सभी फ़ैज़याब लेकिन
जो ग़रीब तिश्ना-लब थे वही जाम तक न पहुंचे

जिसे मैंने जगमगाया उसी अंजुमन में साक़ी
मेरा ज़िक्र तक न आए मेरा नाम तक न पहुंचे

तुम्हें याद ही न आऊंये है और बात वर्ना
मैं नहीं हूंदूर इतना कि सलाम तक न पहुंचे

  - Kaleem Aajiz

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari