yahi bekasi thi tamaam shab usi bekasi mein sehar hui | यही बेकसी थी तमाम शब उसी बेकसी में सहर हुई - Kaleem Aajiz

yahi bekasi thi tamaam shab usi bekasi mein sehar hui
na kabhi chaman mein guzar hua na kabhi gulon mein basar hui

ye pukaar saare chaman mein thi vo sehar hui vo sehar hui
mere aashiyaan se dhuaan utha to mujhe bhi is ki khabar hui

mujhe kya agar tire dosh se tiri zulf taa-b-kamar hui
ki main aisa khaana-kharaab hoon kabhi chaanv mein na basar hui

tujhe fakhr apne sitam pe hai ki asaa-e-raah-numa bana
mujhe naaz apni wafa pe hai ki charaagh-e-raahguzar hui

main tiri bala se ujad gaya tira hausla to nikal gaya
ye badi khushi ka maqaam hai ki ye eed bhi tire ghar hui

यही बेकसी थी तमाम शब उसी बेकसी में सहर हुई
न कभी चमन में गुज़र हुआ न कभी गुलों में बसर हुई

ये पुकार सारे चमन में थी वो सहर हुई वो सहर हुई
मिरे आशियाँ से धुआँ उठा तो मुझे भी इस की ख़बर हुई

मुझे क्या अगर तिरे दोश से तिरी ज़ुल्फ़ ता-ब-कमर हुई
कि मैं ऐसा ख़ाना-ख़राब हूँ कभी छाँव में न बसर हुई

तुझे फ़ख़्र अपने सितम पे है कि असा-ए-राह-नुमा बना
मुझे नाज़ अपनी वफ़ा पे है कि चराग़-ए-राहगुज़र हुई

मैं तिरी बला से उजड़ गया तिरा हौसला तो निकल गया
ये बड़ी ख़ुशी का मक़ाम है कि ये ईद भी तिरे घर हुई

- Kaleem Aajiz
0 Likes

Cigarette Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Cigarette Shayari Shayari