raat phaili hai tere surmai aanchal kii tarah
chaand nikla hai tujhe dhoondhne paagal kii tarah
khushk patton kii tarah log ude jaate hain
shehar bhi ab to nazar aata hai jungle kii tarah
phir khayaalon mein tire qurb kii khushboo jaagi
phir barsne lagi aankhen meri baadal kii tarah
be-wafaon se wafa kar ke guzaari hai hayaat
main barsta raha veeraanon mein baadal kii tarah
रात फैली है तेरे सुरमई आँचल की तरह
चाँद निकला है तुझे ढूँडने पागल की तरह
ख़ुश्क पत्तों की तरह लोग उड़े जाते हैं
शहर भी अब तो नज़र आता है जंगल की तरह
फिर ख़यालों में तिरे क़ुर्ब की ख़ुश्बू जागी
फिर बरसने लगी आँखें मिरी बादल की तरह
बे-वफ़ाओं से वफ़ा कर के गुज़ारी है हयात
मैं बरसता रहा वीरानों में बादल की तरह
As you were reading Shayari by Kaleem Usmani
our suggestion based on Kaleem Usmani
As you were reading undefined Shayari