hai agarche shehar mein apni shanaasaai bahut | है अगरचे शहर में अपनी शनासाई बहुत

  - Kaleem Usmani

hai agarche shehar mein apni shanaasaai bahut
phir bhi rehta hai hamein ehsaas-e-tanhaai bahut

ab ye socha hai ki apni zaat mein simte rahein
ham ne kar ke dekh li sab se shanaasaai bahut

munh chhupa kar aasteen mein der tak rote rahe
raat dhalti chaandni mein us ki yaad aayi bahut

qatra qatra ashk-e-gham aankhon se aakhir bah gaye
ham ne palkon ki unhen zanjeer pahnaai bahut

apna saaya bhi juda lagta hai apni zaat se
ham ne us se dil lagaane ki saza paai bahut

ab to sail-e-dard tham jaaye sakoon dil ko mile
zakhm-e-dil mein aa chuki hai ab to gehraai bahut

shaam ke saayo ki soorat failte jaate hain ham
lag rahi tang ham ko ghar ki anganaai bahut

aaina ban ke vo soorat saamne jab aa gai
aks apna dekh kar mujh ko hasi aayi bahut

vo sehar tareekiyo mein aaj bhi roo-posh hai
jis ke gham mein kho chuki aankhon ki beenaai bahut

main to jhonka tha aseer-e-daam kya hota kaleem
us ne zulfon ki mujhe zanjeer pahnaai bahut

है अगरचे शहर में अपनी शनासाई बहुत
फिर भी रहता है हमें एहसास-ए-तन्हाई बहुत

अब ये सोचा है कि अपनी ज़ात में सिमटे रहें
हम ने कर के देख ली सब से शनासाई बहुत

मुँह छुपा कर आस्तीं में देर तक रोते रहे
रात ढलती चाँदनी में उस की याद आई बहुत

क़तरा क़तरा अश्क-ए-ग़म आँखों से आख़िर बह गए
हम ने पलकों की उन्हें ज़ंजीर पहनाई बहुत

अपना साया भी जुदा लगता है अपनी ज़ात से
हम ने उस से दिल लगाने की सज़ा पाई बहुत

अब तो सैल-ए-दर्द थम जाए सकूँ दिल को मिले
ज़ख़्म-ए-दिल में आ चुकी है अब तो गहराई बहुत

शाम के सायों की सूरत फैलते जाते हैं हम
लग रही तंग हम को घर की अँगनाई बहुत

आइना बन के वो सूरत सामने जब आ गई
अक्स अपना देख कर मुझ को हँसी आई बहुत

वो सहर तारीकियों में आज भी रू-पोश है
जिस के ग़म में खो चुकी आँखों की बीनाई बहुत

मैं तो झोंका था असीर-ए-दाम क्या होता 'कलीम'
उस ने ज़ुल्फ़ों की मुझे ज़ंजीर पहनाई बहुत

  - Kaleem Usmani

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Usmani

As you were reading Shayari by Kaleem Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Usmani

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari