raat ki zulfen bheegi bheegi aur aalam tanhaai ka
kitne dard jaga deta hai ik jhonka purvaai ka
udte lamhon ke daaman mein teri yaad ki khushboo hai
pichhli raat ka chaand hai ya hai aks tiri angadaai ka
kab se na jaane galiyon galiyon saaye ki soorat firte hain
kis se dil ki baat karein ham shehar hai us har jaai ka
ishq hamaari barbaadi ko dil se duaaein deta hai
ham se pehle itna raushan naam na tha ruswaai ka
she'r hamaare sun kar akshar dil waale ro dete hain
ham bhi liye firte hain dil mein dard kisi shehnai ka
tum ho kaleem ajab deewane baat anokhi karte ho
chaah ka bhi armaan hai dil mein khauf bhi hai ruswaai ka
रात की ज़ुल्फ़ें भीगी भीगी और आलम तन्हाई का
कितने दर्द जगा देता है इक झोंका पुर्वाई का
उड़ते लम्हों के दामन में तेरी याद की ख़ुश्बू है
पिछली रात का चाँद है या है अक्स तिरी अंगड़ाई का
कब से न जाने गलियों गलियों साए की सूरत फिरते हैं
किस से दिल की बात करें हम शहर है उस हर जाई का
इश्क़ हमारी बर्बादी को दिल से दुआएँ देता है
हम से पहले इतना रौशन नाम न था रुस्वाई का
शे'र हमारे सुन कर अक्सर दिल वाले रो देते हैं
हम भी लिए फिरते हैं दिल में दर्द किसी शहनाई का
तुम हो 'कलीम' अजब दीवाने बात अनोखी करते हो
चाह का भी अरमान है दिल में ख़ौफ़ भी है रुस्वाई का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Usmani
our suggestion based on Kaleem Usmani
As you were reading Aah Shayari Shayari