jab sar-e-shaam koi yaad machal jaati hai
dil ke veeraane mein ik sham'a si jal jaati hai
jab bhi aata hai kabhi tark-e-tamanna ka khayal
le ke ik mauj kahi door nikal jaati hai
ye hai may-khaana yahan waqt ka ehsaas na kar
gardish-e-waqt yahan jaam mein dhal jaati hai
khwaahish-e-zeest gham-e-marg gham-e-sood-o-ziyaan
zindagi chand khilauno se bahl jaati hai
jab vo hanste hue aate hain khayaalon mein kaleem
shaam-e-gham subh-e-masarrat mein badal jaati hai
जब सर-ए-शाम कोई याद मचल जाती है
दिल के वीराने में इक शम्अ' सी जल जाती है
जब भी आता है कभी तर्क-ए-तमन्ना का ख़याल
ले के इक मौज कहीं दूर निकल जाती है
ये है मय-ख़ाना यहाँ वक़्त का एहसास न कर
गर्दिश-ए-वक़्त यहाँ जाम में ढल जाती है
ख़्वाहिश-ए-ज़ीस्त ग़म-ए-मर्ग ग़म-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ
ज़िंदगी चंद खिलौनों से बहल जाती है
जब वो हँसते हुए आते हैं ख़यालों में 'कलीम'
शाम-ए-ग़म सुब्ह-ए-मसर्रत में बदल जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Usmani
our suggestion based on Kaleem Usmani
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari