aur to kehta hi kya main itni khaamoshi ke baad | और तो कहता ही क्या मैं इतनी ख़ामोशी के बाद

  - Karan Sahar

aur to kehta hi kya main itni khaamoshi ke baad
uth gaya chupchaap aakhir unki ruswaai ke baad

aaine kii gard mein ubhara hai jo us aqs ka
saamna kaise karunga itni tanhaai ke baad

baap se aankhen churaana maa se nazren jhenpna
pooch mat kya kuchh nahin karta hoon bekaari ke baad

ishq aisa rog hai jiski dava kuchh bhi nahin
maut bhi kab pur-asar hai aisi beemaari ke baad

syaah shab hamne guzaari subah kii ummeed mein
vasl kii soorat bane kuchh hijr kii baari ke baad

usne jab beghar kiya to hamne apni raah li
log to uthte na honge aisi naakaami ke baad

din unhin qisson ko bunne mein bita deta hoon main
raat bhar tumko sunaata hoon jo maynoshi ke baad

zehan ko qaaboo mein rakhna bhi zaroori hai sehar
ghar bhi ghar banta hai deewaron kii paabandi ke baad

और तो कहता ही क्या मैं इतनी ख़ामोशी के बाद
उठ गया चुपचाप आख़िर उनकी रुसवाई के बाद

आईने की गर्द में उभरा है जो उस अक़्स का
सामना कैसे करूँगा इतनी तन्हाई के बाद

बाप से आँखें चुराना माँ से नज़रें झेंपना
पूछ मत क्या कुछ नहीं करता हूँ बेकारी के बाद

इश्क़ ऐसा रोग है जिसकी दवा कुछ भी नहीं
मौत भी कब पुर-असर है ऐसी बीमारी के बाद

स्याह शब हमने गुज़ारी सुबह की उम्मीद में
वस्ल की सूरत बने कुछ हिज्र की बारी के बाद

उसने जब बेघर किया तो हमने अपनी राह ली
लोग तो उठते न होंगे ऐसी नाकामी के बाद

दिन उन्हीं क़िस्सों को बुनने में बिता देता हूँ मैं
रात भर तुमको सुनाता हूँ जो मयनोशी के बाद

ज़ेहन को क़ाबू में रखना भी ज़रूरी है सहर
घर भी घर बनता है दीवारों की पाबंदी के बाद

  - Karan Sahar

More by Karan Sahar

As you were reading Shayari by Karan Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Karan Sahar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari