haal poocha na kare haath milaaya na kare | हाल पूछा न करे हाथ मिलाया न करे

  - Kashif Husain Ghair

haal poocha na kare haath milaaya na kare
main isee dhoop mein khush hoon koi saaya na kare

main bhi aakhir hoon isee dasht ka rahne waala
kaise majnoon se kahoon khaak udaaya na kare

aaina mere shab o roz se waqif hi nahin
kaun hoon kya hoon mujhe yaad dilaayaa na kare

ain-mumkin hai chali jaaye samaat meri
dil se kahiye ki bahut shor machaaya na kare

mujh se raston ka bichadna nahin dekha jaata
mujh se milne vo kisi mod pe aaya na kare

हाल पूछा न करे हाथ मिलाया न करे
मैं इसी धूप में ख़ुश हूँ कोई साया न करे

मैं भी आख़िर हूं इसी दश्त का रहने वाला
कैसे मजनूं से कहूं ख़ाक उड़ाया न करे

आइना मेरे शब ओ रोज़ से वाक़िफ़ ही नहीं
कौन हूं क्या हूं मुझे याद दिलाया न करे

ऐन-मुमकिन है चली जाए समाअत मेरी
दिल से कहिए कि बहुत शोर मचाया न करे

मुझ से रस्तों का बिछड़ना नहीं देखा जाता
मुझ से मिलने वो किसी मोड़ पे आया न करे

  - Kashif Husain Ghair

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kashif Husain Ghair

As you were reading Shayari by Kashif Husain Ghair

Similar Writers

our suggestion based on Kashif Husain Ghair

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari