usi ke naam se har kaam ka aaghaaz karta hoon | उसी के नाम से हर काम का आग़ाज़ करता हूँ

  - Kashif Sayyed

usi ke naam se har kaam ka aaghaaz karta hoon
jabeen hai khaak par so arsh tak parvaaz karta hoon

mere dushman bhi meri is ada par daad dete hain
main is andaaz se unko nazar andaaz karta hoon

mujhe ik raaz se parda uthaana jab bhi hota hai
kisi ko raazdaari se shareek-e-raaz karta hoon

उसी के नाम से हर काम का आग़ाज़ करता हूँ
जबीं है ख़ाक पर सो अर्श तक परवाज़ करता हूँ

मेरे दुश्मन भी मेरी इस अदा पर दाद देते हैं
मैं इस अंदाज़ से उनको नज़र अंदाज़ करता हूँ

मुझे इक राज़ से पर्दा उठाना जब भी होता है
किसी को राज़दारी से शरीक-ए-राज़ करता हूँ

  - Kashif Sayyed

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kashif Sayyed

As you were reading Shayari by Kashif Sayyed

Similar Writers

our suggestion based on Kashif Sayyed

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari