unhin aankhon mein faaqe hai unhin aankhon mein paani hai
umr chaubees ke ladke teri baatein gumaani hai
kabhi tu aankh bharta hai kabhi tu sajde karta hai
kabhi chori hai nazaron ki kabhi ye paasbaani hai
vo dil pe haath rakhti hai tu dil ko thaam leta hai
tujhe maaloom hai na iske aage jaan jaani hai
na koi gar magar na par kisi ke baap ka na dar
naye aashiq deewaanon ka ye lahza khaandaani hai
mujhe jee jee na bola kar mujhe ye yaad aata hai
meri chhabbees bhi guzri teri chaubees aani hai
yun fonon par nahin hote keerti hal sabhi masale
use milkar ke samjhaana ke kya kuchh be-maani hai
उन्हीं आँखों में फ़ाक़े है उन्हीं आँखों में पानी है
उम्र चौबीस के लड़के तेरी बातें गुमानी है
कभी तू आँख भरता है कभी तू सजदे करता है
कभी चोरी है नज़रों की कभी ये पासबानी है
वो दिल पे हाथ रखती है तू दिल को थाम लेता है
तुझे मालूम है ना इसके आगे जान जानी है
न कोई गर मगर ना पर किसी के बाप का ना डर
नए आशिक़ ; दीवानों का ये लहज़ा ख़ानदानी है
मुझे जी जी न बोला कर मुझे ये याद आता है
मेरी छब्बीस भी गुज़री तेरी चौबीस आनी है
यूँ फ़ोनों पर नहीं होते कीर्ति हल सभी मसअले
उसे मिलकर के समझाना के क्या कुछ बे-मआनी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayra kirti
our suggestion based on Shayra kirti
As you were reading Wahshat Shayari Shayari