ham unhen vo hamein bhula baithe | हम उन्हें वो हमें भुला बैठे

  - Khumar Barabankvi

ham unhen vo hamein bhula baithe
do gunahgaar zahar kha baithe

haal-e-gham kah ke gham badha baithe
teer maare the teer kha baithe

aandhiyo jaao ab karo aaraam
ham khud apna diya bujha baithe

jee to halka hua magar yaaro
ro ke ham lutuf-e-gham ganwa baithe

be-sahaaron ka hausla hi kya
ghar mein ghabraaye dar pe aa baithe

jab se bichhde vo muskuraaye na ham
sab ne chheda to lab hila baithe

ham rahe mubtala-e-dair-o-haram
vo dabey paanv dil mein aa baithe

uth ke ik bewafa ne de di jaan
rah gaye saare ba-wafa baithe

hashr ka din abhi hai door khumaar
aap kyun zaahidon mein ja baithe

हम उन्हें वो हमें भुला बैठे
दो गुनहगार ज़हर खा बैठे

हाल-ए-ग़म कह के ग़म बढ़ा बैठे
तीर मारे थे तीर खा बैठे

आँधियो जाओ अब करो आराम
हम ख़ुद अपना दिया बुझा बैठे

जी तो हल्का हुआ मगर यारो
रो के हम लुत्फ़-ए-ग़म गँवा बैठे

बे-सहारों का हौसला ही क्या
घर में घबराए दर पे आ बैठे

जब से बिछड़े वो मुस्कुराए न हम
सब ने छेड़ा तो लब हिला बैठे

हम रहे मुब्तला-ए-दैर-ओ-हरम
वो दबे पाँव दिल में आ बैठे

उठ के इक बेवफ़ा ने दे दी जान
रह गए सारे बा-वफ़ा बैठे

हश्र का दिन अभी है दूर 'ख़ुमार'
आप क्यूँ ज़ाहिदों में जा बैठे

  - Khumar Barabankvi

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khumar Barabankvi

As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi

Similar Writers

our suggestion based on Khumar Barabankvi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari