ya rab mua'af kar ke na de karb-e-infiaal | या रब मुआ'फ़ कर के न दे कर्ब-ए-इंफ़िआल  - Khumar Barabankvi

ya rab mua'af kar ke na de karb-e-infiaal
main ne khataayein ki hain saza chahiye mujhe

khaamoshi-e-hayaat se ukta gaya hoon main
ab chahe dil hi toote sada chahiye mujhe

un mast mast aankhon mein aansu are gazab
ye ishq hai to qahr-e-khuda chahiye mujhe

naaseh naseehaton ka zamaana guzar gaya
ab pyaare sirf teri dua chahiye mujhe

har dard ko dava ki zaroorat hai ai khumaar
jo dard khud ho apni dava chahiye mujhe

या रब मुआ'फ़ कर के न दे कर्ब-ए-इंफ़िआल 
मैं ने ख़ताएँ की हैं सज़ा चाहिए मुझे 

ख़ामोशी-ए-हयात से उकता गया हूँ मैं 
अब चाहे दिल ही टूटे सदा चाहिए मुझे 

उन मस्त मस्त आँखों में आँसू अरे ग़ज़ब 
ये इश्क़ है तो क़हर-ए-ख़ुदा चाहिए मुझे 

नासेह नसीहतों का ज़माना गुज़र गया 
अब प्यारे सिर्फ़ तेरी दुआ चाहिए मुझे 

हर दर्द को दवा की ज़रूरत है ऐ 'ख़ुमार' 
जो दर्द ख़ुद हो अपनी दवा चाहिए मुझे 

- Khumar Barabankvi
4 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khumar Barabankvi

As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi

Similar Writers

our suggestion based on Khumar Barabankvi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari