wahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhoolne mein zamaane lage hain
vo hain paas aur yaad aane lage hain
mohabbat ke hosh ab thikaane lage hain
suna hai hamein vo bhulaane lage hain
to kya ham unhen yaad aane lage hain
hataaye the jo raah se doston ki
vo patthar mere ghar mein aane lage hain
ye kehna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kehne mein mujh ko zamaane lage hain
hawaaein chaliin aur na maujen hi uthhiin
ab aise bhi toofaan aane lage hain
qayamat yaqeenan qareeb aa gai hai
khumaar ab to masjid mein jaane lage hain
वही फिर मुझे याद आने लगे हैं
जिन्हें भूलने में ज़माने लगे हैं
वो हैं पास और याद आने लगे हैं
मोहब्बत के होश अब ठिकाने लगे हैं
सुना है हमें वो भुलाने लगे हैं
तो क्या हम उन्हें याद आने लगे हैं
हटाए थे जो राह से दोस्तों की
वो पत्थर मिरे घर में आने लगे हैं
ये कहना था उन से मोहब्बत है मुझ को
ये कहने में मुझ को ज़माने लगे हैं
हवाएँ चलीं और न मौजें ही उट्ठीं
अब ऐसे भी तूफ़ान आने लगे हैं
क़यामत यक़ीनन क़रीब आ गई है
'ख़ुमार' अब तो मस्जिद में जाने लगे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi
our suggestion based on Khumar Barabankvi
As you were reading Nasha Shayari Shayari