baat karte hue be-khayaali mein zulfen khuli chhod di | बात करते हुए बे-ख़याली में ज़ुल्फ़ें खुली छोड़ दी

  - Khurram Afaq

baat karte hue be-khayaali mein zulfen khuli chhod di
ham nihttho pe usne ye kaisi balaaen khuli chhod di

saath jab tak rahe ek lamhe ko bhi rabt toota nahin
usne aankhen agar band kar liye to baanhe khule chhod di

kya anokha yaqeen tha jo us din utaara gaya shehar par
ghar palatte hue taajiro ne dukanein khuli chhod di

mere qaabu mein ho kar bhi vo itna sarkash hai to sochie
kya banega agar maine uski lagaamen khuli chhod di

jisne aate hue meri tarteeb par itne jumle kase
usne jaate hue mere dil ki daraazen khule chhod di

बात करते हुए बे-ख़याली में ज़ुल्फ़ें खुली छोड़ दी
हम निहत्थो पे उसने ये कैसी बलाएँ खुली छोड़ दी

साथ जब तक रहे एक लम्हे को भी रब्त टूटा नहीं
उसने आँखें अगर बंद कर लिए तो बाँहे खुले छोड़ दी

क्या अनोखा यक़ीं था जो उस दिन उतारा गया शहर पर
घर पलटते हुए ताजिरो ने दुकानें खुली छोड़ दी

मेरे क़ाबू में हो कर भी वो इतना सरकश है तो सोचिए
क्या बनेगा अगर मैंने उसकी लगामें खुली छोड़ दी

जिसने आते हुए मेरी तरतीब पर इतने जुमले कसे
उसने जाते हुए मेरे दिल की दराज़ें खुले छोड़ दी

  - Khurram Afaq

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khurram Afaq

As you were reading Shayari by Khurram Afaq

Similar Writers

our suggestion based on Khurram Afaq

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari