hamein bhi kaam bahut hai khazaane se us ke
zara ye log to utthen sirhaane se us ke
yahi na ho ki tavajjoh hata le vo apni
ziyaada der na bachna nishaane se us ke
vo mujh se taaza mohabbat pe raazi hai lekin
usool ab bhi wahi hain purane se us ke
vo teer itni riaayat kabhi nahin deta
ye zakham lagta nahin hai gharaane se us ke
vo chadh raha tha judaai ki seedhiyaan khurram
sarak raha tha mera haath shaane se us ke
हमें भी काम बहुत है ख़ज़ाने से उस के
ज़रा ये लोग तो उट्ठें सिरहाने से उस के
यही न हो कि तवज्जोह हटा ले वो अपनी
ज़ियादा देर न बचना निशाने से उस के
वो मुझ से ताज़ा मोहब्बत पे राज़ी है लेकिन
उसूल अब भी वही हैं पुराने से उस के
वो तीर इतनी रिआयत कभी नहीं देता
ये ज़ख़्म लगता नहीं है घराने से उस के
वो चढ़ रहा था जुदाई की सीढ़ियाँ 'ख़ुर्रम'
सरक रहा था मिरा हाथ शाने से उस के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khurram Afaq
our suggestion based on Khurram Afaq
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari