dava se hal na hua to dua pe chhod diya
tira moamala ham ne khuda pe chhod diya
bahut khayal rakha mera aur darakhton ka
phir us ne dono ko aab-o-hawa pe chhod diya
muaaf vo karein jin ka qusoor-waar hai tu
adaalaton ne tujhe kis bina pe chhod diya
baghair kuchh kahe main ne palatne ka socha
aur ek phool dar-e-iltijaa pe chhod diya
दवा से हल न हुआ तो दुआ पे छोड़ दिया
तिरा मोआमला हम ने ख़ुदा पे छोड़ दिया
बहुत ख़याल रखा मेरा और दरख़्तों का
फिर उस ने दोनों को आब-ओ-हवा पे छोड़ दिया
मुआफ़ वो करें जिन का क़ुसूर-वार है तू
अदालतों ने तुझे किस बिना पे छोड़ दिया
बग़ैर कुछ कहे मैं ने पलटने का सोचा
और एक फूल दर-ए-इल्तिजा पे छोड़ दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khurram Afaq
our suggestion based on Khurram Afaq
As you were reading Phool Shayari Shayari