jaane kya aas lagaaee hai safar se main ne | जाने क्या आस लगाई है सफ़र से मैं ने

  - Khurram Afaq

jaane kya aas lagaaee hai safar se main ne
ek tinka bhi uthaya nahin ghar se main ne

warna chup kis se raha jaata hai itna arsa
tujh ko dekha hi nahin aisi nazar se main ne

utar aaya hai hareefon ki taraf-dari par
vo jise saamne karna tha udhar se main ne

yun na kar vasl ke lamhon ko havas se taabeer
chand patte hi to tode hain shajar se main ne

dekhni ho kabhi bechaini to un se milna
jin ko roka hai tiri khair-khabar se main ne

जाने क्या आस लगाई है सफ़र से मैं ने
एक तिनका भी उठाया नहीं घर से मैं ने

वर्ना चुप किस से रहा जाता है इतना अर्सा
तुझ को देखा ही नहीं ऐसी नज़र से मैं ने

उतर आया है हरीफ़ों की तरफ़-दारी पर
वो जिसे सामने करना था उधर से मैं ने

यूँ न कर वस्ल के लम्हों को हवस से ताबीर
चंद पत्ते ही तो तोड़े हैं शजर से मैं ने

देखनी हो कभी बेचैनी तो उन से मिलना
जिन को रोका है तिरी ख़ैर-ख़बर से मैं ने

  - Khurram Afaq

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khurram Afaq

As you were reading Shayari by Khurram Afaq

Similar Writers

our suggestion based on Khurram Afaq

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari