tamaam umr bachaata raha khuda us ko | तमाम उम्र बचाता रहा ख़ुदा उस को

  - Kushal Dauneria

tamaam umr bachaata raha khuda us ko
kisi ki lag hi gai phir bhi bad-dua us ko

vo apni zindagi aur doston mein hai masroof
meri tamaam pareshaaniyon se kya us ko

tum us se kehna kisi din tabaah kar dega
kam umr ladkiyon ke dil se khelna us ko

bichhadte waqt use dekh kar laga jaise
har ek cheez ka pehle se ilm tha us ko

hunar-shanaas kisi din qaraar kar denge
banaane waale tire fan ki intiha us ko

na jaane kaun sa pesha hai jis mein lagta hai
har ek shaam koi aadmi naya us ko

use sataayein mohabbat ke lautte mausam
kabhi bhi raas na aaye america us ko

khuda main bhi tiri is duniya ko mita doonga
hamaare jhagde mein kuchh bhi agar hua us ko

तमाम उम्र बचाता रहा ख़ुदा उस को
किसी की लग ही गई फिर भी बद-दुआ' उस को

वो अपनी ज़िंदगी और दोस्तों में है मसरूफ़
मेरी तमाम परेशानियों से क्या उस को

तुम उस से कहना किसी दिन तबाह कर देगा
कम उम्र लड़कियों के दिल से खेलना उस को

बिछड़ते वक़्त उसे देख कर लगा जैसे
हर एक चीज़ का पहले से इल्म था उस को

हुनर-शनास किसी दिन क़रार कर देंगे
बनाने वाले तिरे फ़न की इंतिहा उस को

न जाने कौन सा पेशा है जिस में लगता है
हर एक शाम कोई आदमी नया उस को

उसे सताएँ मोहब्बत के लौटते मौसम
कभी भी रास न आए अमेरिका उस को

ख़ुदा मैं भी तिरी इस दुनिया को मिटा दूँगा
हमारे झगड़े में कुछ भी अगर हुआ उस को

  - Kushal Dauneria

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kushal Dauneria

As you were reading Shayari by Kushal Dauneria

Similar Writers

our suggestion based on Kushal Dauneria

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari