maine to bas mazaq mein poocha kharab hai | मैंने तो बस मज़ाक़ में पूछा ख़राब है? - Kushal Dauneria

maine to bas mazaq mein poocha kharab hai
vo peer haath dekh ke bola kharaab hai

har din use dikhaaya ki kitne shareef hain
har raat uske baare mein socha kharaab hai

ye ishq ho chuka hai turup-chaal taash ki
aage ghulaam ke mera ikka kharaab hai

azaad ladkiyon se bhali qaid auratein
matlab ki jheel theek hai dariya kharaab hai

hum jis khuda ki aas mein baithe hain raat din
vo ja chuka hai bol ke duniya kharaab hai

ziyaada kisi ki maut pe rona nahin sahi
aur janmdin pe shor sharaaba kharaab hai

aadha bhi uske jitna main raushan nahin hua
main jis diye ko bol raha tha kharaab hai

मैंने तो बस मज़ाक़ में पूछा ख़राब है?
वो पीर हाथ देख के बोला ख़राब है

हर दिन उसे दिखाया कि कितने शरीफ़ हैं
हर रात उसके बारे में सोचा ख़राब है

ये इश्क़ हो चुका है तुरुप-चाल ताश की
आगे ग़ुलाम के मिरा इक्का ख़राब है

आज़ाद लड़कियों से भली क़ैद औरतें
मतलब कि झील ठीक है दरिया ख़राब है

हम जिस ख़ुदा की आस में बैठे हैं रात दिन
वो जा चुका है बोल के दुनिया ख़राब है

ज़्यादा किसी की मौत पे रोना नहीं सही
और जन्मदिन पे शोर शराबा ख़राब है

आधा भी उसके जितना मैं रौशन नहीं हुआ
मैं जिस दिए को बोल रहा था ख़राब है

- Kushal Dauneria
25 Likes

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kushal Dauneria

As you were reading Shayari by Kushal Dauneria

Similar Writers

our suggestion based on Kushal Dauneria

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari