itni mushkil mein bhi ahbaab na daalen mujh ko | इतनी मुश्किल में भी अहबाब न डालें मुझ को

  - Lais Quraishi

itni mushkil mein bhi ahbaab na daalen mujh ko
ki sambhalna bhi na chaahoon to sambhalen mujh ko

gham-e-dauraan gham-e-jaanaan gham-e-jaan ek hue
dar raha hoon ye kahi maar na daalen mujh ko

munfarid meri tabeeyat hai ye haalaat kahi
ravish-e-aam ke saanche mein na dhaalen mujh ko

main to is par bhi hoon raazi ki tire shehar ke log
mere bante nahin apna hi bana len mujh ko

aap mujh se kisi ta'beer ki phir baat karein
pehle is khwaab-e-tamanna se jaga len mujh ko

nahin ma'aloom ki kal tak main rahoon ya na rahoon
meherbaan aaj hi jee-bhar ke sata len mujh ko

gardishon ke liye ab tak na ye mumkin na hua
kisi soorat mere mehwar se hata len mujh ko

in bulandi ke makeenon ko mayassar hi nahin
lais vo haath jo pasti se utha len mujh ko

इतनी मुश्किल में भी अहबाब न डालें मुझ को
कि सँभलना भी न चाहूँ तो सँभालें मुझ को

ग़म-ए-दौराँ ग़म-ए-जानाँ ग़म-ए-जाँ एक हुए
डर रहा हूँ ये कहीं मार न डालें मुझ को

मुनफ़रिद मेरी तबीअत है ये हालात कहीं
रविश-ए-आम के साँचे में न ढालें मुझ को

मैं तो इस पर भी हूँ राज़ी कि तिरे शहर के लोग
मेरे बनते नहीं अपना ही बना लें मुझ को

आप मुझ से किसी ता'बीर की फिर बात करें
पहले इस ख़्वाब-ए-तमन्ना से जगा लें मुझ को

नहीं मा'लूम कि कल तक मैं रहूँ या न रहूँ
मेहरबाँ आज ही जी-भर के सता लें मुझ को

गर्दिशों के लिए अब तक न ये मुमकिन न हुआ
किसी सूरत मिरे मेहवर से हटा लें मुझ को

इन बुलंदी के मकीनों को मयस्सर ही नहीं
'लैस' वो हाथ जो पस्ती से उठा लें मुझ को

  - Lais Quraishi

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lais Quraishi

As you were reading Shayari by Lais Quraishi

Similar Writers

our suggestion based on Lais Quraishi

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari