koii hai jo dil-e-maskn se nahin jaati hai | कोई है जो दिल-ए-मस्कन से नहीं जाती है

  - Lalit Pandey

koii hai jo dil-e-maskn se nahin jaati hai
aur agar jaaye to jeevan se nahin jaati hai

kiska chehra ye tasavvur mein basaaya tumne
kiski tasveer hai jo man se nahin jaati hai

aag ko aur badhaata hai hawa ka jhonka
jism kii bhookh bhi kangan se nahin jaati hai

laakh sayyaad ne koshish kii udaane kii magar
maa to maa thehri nasheman se nahin jaati hai

raqs karta hai mera aks mere hi andar
ye vo kaai hai jo bartan se nahin jaati hai

chand sikko kii madad qaid hai tasveeron mein
tamkanat sirf badappan se nahin jaati hai

mujhko ghazlein kabhi tanhaa nahin hone detiin
ek chidiya kabhi aangan se nahin jaati hai

कोई है जो दिल-ए-मस्कन से नहीं जाती है
और अगर जाए तो जीवन से नहीं जाती है

किसका चेहरा ये तसव्वुर में बसाया तुमने
किसकी तस्वीर है जो मन से नहीं जाती है

आग को और बढ़ाता है हवा का झोंका
जिस्म की भूख भी कंगन से नहीं जाती है

लाख सय्याद ने कोशिश की उड़ाने की मगर
माँ तो माँ ठहरी नशेमन से नहीं जाती है

रक़्स करता है मेरा अक्स मेरे ही अंदर
ये वो काई है जो बर्तन से नहीं जाती है

चंद सिक्कों की मदद क़ैद है तस्वीरों में
तमकनत सिर्फ़ बड़प्पन से नहीं जाती है

मुझको ग़ज़लें कभी तन्हा नहीं होने देतीं
एक चिड़िया कभी आँगन से नहीं जाती है

  - Lalit Pandey

More by Lalit Pandey

As you were reading Shayari by Lalit Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Pandey

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari